26.1 C
Delhi
Monday, October 14, 2024
HomeRECIPEbina imli ke sambar kaise banega | बिना इमली के सांभर कैसे...

bina imli ke sambar kaise banega | बिना इमली के सांभर कैसे बनेगा | Best Recipe in Hinglish (2023)

Sambar ek bahut hi laziz soup type ki ek sabji hai, jo south India me kafi famous hai. Ye sambar kuch daalon (split pulses) or (lantils) ka istemal kar ke banaya jata hai.

bina imli ke sambar kaise banega | बिना इमली के सांभर कैसे बनेगा | How to make sambar without Tamarind (इमली) in Hinglish

Hum sab jaante hain imli [Tamarind(इमली)] hamare khan-paan me kitni important hoti hai. Imli ke bahut se faide hai aur kuch nuksaan bhi hai. Jiyadatar Doctors hi hume hamare sehat se related problems ko samajh kar hi sahi se bata sakte hain ke kis marz ke hone ki wajah se hume imli khana chahiye yaa nahi.

Lekin aaj hum is article se ye seekhna chahte hai ke bina imli ke sambar kaise banega?

Ye sawal har kisi ke man me ata hi hoga, to fir kyon na hum ye seekhen ke agar hume kisi wakt sambar banana ho to hum bina imli ke kaise banayenge.

Kya hum sab jante hain, khane banane me hum kunsi imli ka istemaal karte hain?

bina imli ke sambar kaise banega | Paki huyi khatti meethi imli
Paki huyi khatti meethi imli | image credits: hippopx.com

Imli jab ped per pak jati hai usko toda jata hai aur wahi imli aksar khane me istemaal ki jaati hai. Jaise ke aap uski tasweer uper dekh rahe ho, wahi khatti meethi imli hai.

More Recipes in English

Is website per aapko bahut se recipes seekhne milenge. Jaan ne ke liye yahan click kijiye

Chaliye ab hum step by step jaan te hain ke bina imli ke sambar kaise banega, ummid ha ke aapko ye recipe pasand ayegi aur aapko isse kafi faiyeda hoga.

Sabse Pahele hum sambar kya hota hai ye jaante hai

ye sambar ki taswir hai

Sambar ek bahut hi laziz soup type ki ek sabji hai, jo south India me kafi famous hai.
Ye sambar kuch daalon (split pulses) or (lantils) ka istemal kar ke banaya jata hai.
Aksar sambar, idli, dosa, bhajiya, potato vada ya rice ke saath bhi khaya jata hai.

Ab sambar sirf sounth india me famous nahi hai balke India me har jagah per milta hai, khas taur per restaurants me aur kuch log apne gharon me banate hai. India ke alawa bahut se vedeshon me bhi milta hai.

Kuch logon ko sambar me imli ke hone se kafi maza aata hai, ek khatte taste ka maza hi kuch aur hota hai. Maharashtra me imli normal dal aur kuch sabji me bhi istemal ki jaati hai.

Aksar log imli ko jiyada quantity me store karke nahi rakhte, is wajah se kabhi kabhi bina imli ke hi kaam chalana pad jata hai. To aye wakt koi agar sambar khana chahe to kya karen? Ayese wakt me ek chinta hoti hai ke bina imli ke sambar kaise banega aur sambar me khattapan kaise add karen?

Jaise ke pahele bhi kaha hai ke, kuch logo ko doctors imli khane se ya khatta khane se mana karte hai, to ayese me us insaan ke liye kaunsa tarika apnaye jisse us insaan ko khata sambar bhi khane mil jaye.

To isiliye ye recipe unke liye hai jo ye jaanna chahte hai ke bina imli ke sambar kaise banega.

Ye recipe bahut hi asaan hai, step by step inke tarike ko follow kijiye aur aap bhi ghar per bina imli ke sambar banayiye aur khub maze se taste kijiye.

Bina imli ke sambar kaise banega, iske liye lagne wali samagri (सामग्री): Recipe Ingredients

  • tuar(तुअर) ki ya arhar(अरहर) ki daal – 250gm
  • dudiya (lauki)लोकी (cubes me cut kar ke) – 100gm
  • 1 pyaaz(onion), barik kata hua
  • 2 tamatar(tomato), barik kata hua
  • 1 hari mirch(green chilli), barik kata hua
  • 1 chammach jeera
  • 1 chammach sarson(rai) ke beej
  • 1/2 chammach haldi(turmaric) powder
  • 1/2 chammach lal mirch(red cilli) powder
  • 1/2 chammach dhaniya(coriander) powder
  • Namak swad ke mutabik
  • 2 chammach tel(oil)
  • 2 chammach kata hua dhaniya patta(coriander leaves)

Instructions: Bina imli ke sambar kaise banega, iska tarika

  1. Toor dal ko acche se dhokar 30 minute ke liye pani mein bhigo dein.
  2. Pressure cooker mein bhigoye hue dal, haldi powder aur 3 cup pani add karein. Dal ko 5-6 whistle tak cook karein ya jab tak dal soft na ho jaye.
  3. Ek alag pan mein tel garam karein aur usmein jeera aur sarson add karein. Jab tak beej phatne shuru na ho jaye, pyaaz aur hari mirch ko add karein aur transparent hone tak saute karein(halki aanch per bhune).
  4. Tamatar(tomato) ko barik katakar usmein add karein aur soft aur mushy hone tak saute karein.
  5. Lal mirch powder, dhaniya powder aur swad ke hisaab se namak add karein. Sab milakar kuch minutes tak saute karein.
  6. Paki huyi dal ko is masale ke saath mix karein. Agar sambar ki consistency jyada thick hai toh pani add karke adjust karein.
  7. Kuch minute ke liye sambar ko boil hone dein.
  8. Aakhir mein kata hua dhaniya patta add karein aur garam serve karein. Isko steamed rice ya idli ke saath serve kar sakte hai.

Tips and Tricks for Bina imli ke sambar kaise banega iske kuch tips

  1. Aap is dish mein drumsticks, baingan(brinjal), gajar aur aloo jaise sabzi bhi add kar sakte hai jisse ye dish aur laziz aur sehatmand banega.
  2. Agar aapke paas pressure cooker nahi hai toh aap dal ko gas par banayein. Is mein thoda jyada time lagega par sambar ka swad change nahi hoga.
बिना इमली के सांभर कैसे बनेगा | Bina Imli ke Sambar Kaise Banega @KSquareKitchen
RELATED ARTICLES

1 COMMENT

REVIEW OVERVIEW

Easy Recipe
Fast to Cook
Good to taste

Free Live Cricket Score

Weather Seattle, USA

Seattle
scattered clouds
14.3 ° C
15.9 °
12.7 °
84 %
4.9kmh
40 %
Sun
21 °
Mon
21 °
Tue
15 °
Wed
14 °
Thu
12 °

Most Popular

bina imli ke sambar kaise banega | बिना इमली के सांभर कैसे बनेगा | How to make sambar without Tamarind (इमली) in Hinglish Hum sab jaante hain imli hamare khan-paan me kitni important hoti hai. Imli ke bahut se faide hai aur kuch nuksaan...bina imli ke sambar kaise banega | बिना इमली के सांभर कैसे बनेगा | Best Recipe in Hinglish (2023)